Wednesday, June 20, 2007

kitna badal gaya hai gaon

gaon ab bas humaari smritiyon me hai ..hum apne tamaam bhoot aur bhavishya ke bawajood apne vartmaan me hi jeete hai..is vartmaan me shaher hai..shaher jise sans lene ki bhi fursat nahi....din raat ke nirdharako ne kaam ke ghante tak nirdharit kar diye hai ..to kya gaon ki taraf bhaagna sahi hoga....kaash..gaon ab wo gaon nahi raha...jahan log chandni raat me chato me khula sote the....kisi ke sukh dukh me poora gaon jutta tha...mithleshwar ki ek kahani hai chunchi....jo gaon me rehne waali ek aurat dantuli ki kahaani hai dantuli ka us gaon me to kya duniya me koi apna nahi tha...phir bhi woh gaon me kaafi lokpriya thi...hansti thi hansaati thi..doosro ke dukh me roti bhi thi...sohanpapdi banakar bechti thi par bechti kam baantti jyaada thi..gaon ke peepal ke paas usne apni chat daal rakhi thi..ek din dantuli chal basi....dantuli ne apne jeete ji ek paisa nahi bacchaaya tha..aur na uska koi apna tha..to kai sawaal uthe..uske antim sanskaar ka prabandh kaise ho...uske arthi ko kandha kaun kaun dega,,aur is mehangaai ke jamaane me lakdi uske liye kaun kharidega....aur sabse important prashna to ye tha ki us abhagan ko aag kaun dega...kyunki jo bhi aag dega use baarah din tak sabhi karmkando ko nibhaana hoga...itna lafda kaun mole....to khair pehle in prashno par vichaar kiya gaya..phir kuch naujawaano ko saath lekar ek bhale manas ne chanda uthaaya..jisse jo bhi bana usne dantuli ke liye diya..aur sab use foonkne shamshaan chale...dantuli ko aag dene ke liye ek dom ko bola gaya lekin dom ad gaya...."bina paisa ke hum aag naikhe deb" ab gaon waalo par musibat....jo paise the woh lakdi me bhi kam pade the....lakdi waala udhaar dene ko razi na tha...use to roz lakdi bechni hai kab tak udhaar karega.....par kisi tarah laash ko jalaane ki taiyaari ho gayi thi ab is dom ko dene ke liye paise kisi ke paas nahi bache the..to pata chala ki dantuli ki ek sone ki chunchi (nathuni) thi par reewaz yeh tha ki marne waale ne marne se pehle agar sona pehna ho to use lash ke moonh me rakh dete hai...gaon waalo ne dom ko kaha ki chunchi dantuli ke moonh me rakh di jaayegi ..laash jalne se pehle hi tum use nikaal lena par is dantuli ki chunchi uske naak se ghayab milti hai..gaon waalo ko lagta hai ki laash ko nahaane samay ye uske pet me chali gayi hogi....to yehi baat dom ko kahi jaati hai ki laash jab jal jaaye to tum nikal lena uske pet se..dom taiyaar ho jaata hai....kahaanikaar ne yahan par ek bahut marmik baat likh di hai ki aur koi laash hota to dom laash ko jalne bhi na deta aur apna saamaan lekar use nadi me ya maidan me chod aata jise baad me chil kaue kha lete..taaki woh bachi khuchi lakdiyon ko waapus bech sake.....khair dantuli ke jal jaane ke baad bhi chunchi nahi milti hai ...ant tak pata nahi chaltaa hai ki chunchi kaha gayi......kahanikaar hume prashno ke biyanbaan me laakar chod deta hai......kya sachmuch gaon se insaaniyat khtma hoti jaa rahi hai..mithleshwar ki ye kahaani dil ko choo jaati hai ki koi bhi patra ghalat nahi hai ...sab prasthitiyan hai...gaon me paisa hai nahi ..logo ka khud ka pet bharna mushkil hai..aise me extra kharch kaise kare...ye kahaani premchand aur renu ki yaad dilaati hai...ek samay ke liye ye viswaas kerna mushkil ho jaata hai ki ye kahani premchand ya renu ki nahi hai....par ye ho bhi sakta hai..kyunki premchand ki kahaniyon me faile tamaam garibi ke bawajood gaon me me kam se kam ye sthiti nahi thi....aaj durbhagywash wo sthiti hai aur iska beeda mithleshwar ne uthaaya hai

Wednesday, June 13, 2007

kahaani ek dalaal ki

pichle dino jo achhi kahaaniya padhi usme se sabse jyaada jis kahaani ne prabhawit kiya woh kahaani hai .."woh meri aurat thi pyaare bhaai"....aur is bejod kahaani ko likhne waale hai krishna raghav jo film aur tv ki duniya ke sidhhast nirdeshak hai..film institute puna ke graduate...."woh meri aurat ...." apne terah ki anoothi kahaani hai.... na to kisi khaas shilp ke tarj par likhi gayi kahaani na koi paramparik aakhyaan par uske bawjod kahaani humein bhawnao ki aisi duniya me jaa patakti hai ki hum bas hairaan hokar kahaanikaar ke baare me sochne lagte hai...kahaani ke sutrdhhar hai munshi ji jo jawaani beetakar ab budhaape ki taraf badh rahe hai lekin laundo se roz chaay ki dukan me hansi thitholi kerna nahi bhoolte...shaam ko niyat samay paanch baje munshi ji padhaarte hai aur naujwaano me nai urjaa daal dete..us shaam bhi kuch aise hi baat chal rahi hoti hai ek naujwaan apni premika ko yaad kar dukhi hai aur baar baar ek hi baat kehta hai main uske liye mar jaaunga..munshi ji se jab nahi raha gaya to unhone chay ka glass bench per patka..chay thodi chalki..aur phir munshi ji ki baat hawaa me tair gayi..."amaa chodo yaar pyaar me mara nahi jiya jaata hai yaaron..jiya jaata hai." ladko ko lagaa ki munshi ji sathiya gaye hai isiliye aisi baat kar rahe hai lekin nahi..munshi ji gambhir the aur phir unhone ek kahaani sunaai..kahaani jo mumbai ki hai
ye kahaani nathu dale ki hai jo munshi ji ke mumbai ke dino me room partner hua karta tha..musnhi ji bataate hai ki pehle to kai dino tak pata hi nahi chalaa ki who kaam kya kerta hai kyunki main subeh subeh jo kaam ko nikla to shaam ko aata aur who shaam ko kaam pe jaata aur subeh aata..kabhi kabhar dikaahi de jaata par apni bistar pe behosh soya hua..phir ek din munshi ji ki chutti ke roz dono me baatcheet hui aur pata chalaa ki who kamaathipura me dale ka kaam kerta hai…munshi ji thode peche hat gaye..”..main maan nahi sakta ki tumhare jaisa insaan yahan dalla banne aaya hoga…
natthu kehta hai ki aaya to who hero banne tha ..amitabh ko jeb me lekar ghoomta tha par jab saachai saamne aa gai to mujhe bhi kuch kamaane ki jaroorat padi..to main is line me a gaya
“kyun tum kuch aur bhi kaam kar sakte the izzatdaar kaam….. tumhe Sharm nahi aati itna ghatiya kaam karte hue”
tum dila do nathu dale ne chute hi kaha
barhain bhi paas nahi hoo…
aur is terah kuch baatein hoti rahi aur agle din se main use doosri nazar se dekhne lagaa..par dhire dhire humaare beech duriyaan kam hoti gayi aur ek din uanw ek baat bataai “yaar main tang aa gaya hoo is ladki se..
kisse..
are wahi jiske liye main gahak dhoondhtaa hoo…rani kehti hai ki mujhse pyaar karti hai …wo kehti hai ki main usse shadi kar loon…aur apni saari kamaai us pe lutaaon
munshi ji beech me bol pade “ aur tune ye paise apne liye jamaa kiya hai taaki tu fridge tv coler le sake..
nathu –bilukl maine ye pasie apni aatma ko bechkar kamaaya hai ..aur inse mujhe nai jindagi shuroo karni hai …
aur raani ka kya hoga..
nathu- wo paagal hai wo nahi samjhati ki use abhi meri jaroorat nahi hai ..
baat aayi gayi ho gayi….ek din maine kaha ki mujhe bhi koi maal dilaa do..to munshi ji chale gaye un galiyon me…nathu ne sabki terah munshi ji ko raani ke paas bhej diya…
kamre ke andar rani ne kapde to utaar diye par fut fut kar ro rahi thi ki wo tumhara dost hai tum use samjaate kyun nahi ki main usse pyaar kerti hoo.munshi ji use aansuo ka bhaar sah nahi sake aur baahar nikal aaye…..
aakar unhone raju ko fatkaar lagaaya ki itna jo tumse payaar karti hai to tu usse shaadi kyun nahi kar leta .tum dono ko is nark se chutti mil jaayegi..jawaab me raju muskura diya...kaise baat karte ho yaar..wo bazzar ki randi hai ...woh apne grahak ko condom ke liye jabardasti bhi nahi karti ...aisi ladki se kaun shaadi karega..maine to 3 fds bank me jamaa kar rakhe hai ..aur mujhe flat lekar ek nai jindagi shuroo karni hai..
waqt badaltaa raha..nathu raani ko condom ke liye kehta raha par woh nahi maani..kaafi din beete raju ghar nahi lauta to mujhe chinta hui ..phir ek din woh kaafi jaldi me aaya…sharir me haddiyan nazar aa rahi thi dadhi betarteeb se kai dino ki badhi hui thi. usi se pata chalaa ki rani ke HIV jaanch ka result positive hai aur woh hospital me admit hai..munshi ji uske saath dekhne gaye ..ek kone me raani thithuri hui gathri ki terah padi thi..aur raju hospital ke bill bhar rha tha....ek ek kar usne apni dono fds tudwa di par phir bhi illaj me koi sudhaar nahi ho raha tha..aur ek din subeh subeh pata chala ki woh nahi rahi...usne apni teesri fd tudwaa di thi aur usse rani ke antim sanskaar ki vyavsthaa ki..phir bhi uske paas kuch paise kam pad gaye to usne munshi ji se liye...agle din raju ne munshi ji ke paise lautaa diye ..munshi ne manaa kiya ki uske prati thoda farz to uska bhi bantaa hai par raju ne manaa kar diya aur kahaa ki nahi ...wo meri aurat thi bhaai uska saara kharch main hi uthaaunga.....maine kaha tha tab use meri jaroorat nahi thi tab uske paas grahak the…
kahaani sunker sabhi ladke apni jageh kaath ki terah apni jageh jam gaye..
is kahaani ki khasiyat hai kahaanikaar ki imaandaari...aur kissagoi..thik manohar shyam joshi kakka ji kahin ki tera lekin yet hum rote hai mehsoos karte hai lekin ant me humaara sar bhi jhuk jaata hai...mujhe lagta hai ye asli kahani hai bina kisi laag lapet ke bina kisi rajniti ke kahi gayi ek anokhi kahaani..is kahaani ka sli mazaa ise padhne me hai

kahaani se rishtaa

yun samjhe to kahaani se humaara rishta us din se ban gaya tha jis din hum pehli pehli baar thand ke dar se apne apne bistar pe daadi kee god me chipke pade hote...aur daadi kahaani sunaate jaati thi....har roz nai kahaani..jaane kahan se daadi itni kahaaniya le aati thi..humein lagta tha ki daadi roz sham ko kahi jaati hai aur kahaani kharid kar le aati hai....daadi ki kahaaniyan shroo hote hi hum duniyaa jahan bhol jaate the....daadi ki pehli kahaani kuch yun shroo hoti thi...pehle aakash ekdum dharti ke paas tha...ek budhiya roz jhadoo marti thi ..to uski peeth aakash se takra jaati thi..tang aakar usne ek din aakash ko jor ka dhakka diya aur aakash bahut door jaa tanga....huh...kya sachmuch aisa hua hoga..lekin humein lagta tha ki sachmuch aisa hua hoga....daadi samay ke ped par pakti chali gayi aur ek din bhagwaan ne kisi ko bhijwakar unhe apne paas bulaa liya...daadi ke vida hote hi door door tak kahaani ka koi fal nahi laga...hum bade hote gaye..humaare charo taraf bhid thi hum bhid me shamil ho gaye....phir kitaabein padhi..duniya dekhi aur jindagi khud ba khud kahaani banti chali gayi .....kahaani kya hoti hai..kirdaar kahan se aate hai...kya is daudbhaag me hum kahaniyan sunna bhool gaye hai...aur usse bhi jyaada kahani kehnaa bhool gaye hai...agar nahi to karte hai ek shuruaat kahani sunne ki sunaane ki taaki hum dhoond sake ek kahaani apne aaspaas...train me bus me..sadak me ghar me..bacho me budho me...mumkin hai hum do pal ke liye hi sai apni jindagi ko ji sake...